Wednesday, October 24, 2012

Thanks for the Hospitality










11 comments:

  1. WA- TOIZZO, MANN -TASHAAO, WA –TOZILLO, MANN TASHAA.
    Aur Tu Jisay chahta hy Izzat sy nawaz deta hy. Aur Tu Jisay chahta hy zillat dy deta hy. (Hm sb zillat ki zindagi sy Allah Kareem ki Panah mangtay haen).
    Bauhat Khoob Khalid Riaz Bhai. AP ki Lahore maen hospitality ko dekh kr bauhat hi khushi hui. Allah Kareem nay apko yeh izzat bakhshi k ap jahan b jaty ho hr koi apni aankhaen ap ki azmat k lye jhuka deta hy aur tamam sar kham ho jaty haen ap bahadur, aur saaf niyyat walay insane ho. Ap maen jazba, josh aur walval hy aagay barrhnay ka, aur apna haq chheen kr leny ka. Jo izzat apko Allah Kareem nay di hy esko please maintain rakhiye ga aur kisi ki bat ka bura b lagay tw b sabr aur tahammul sy bardasht krty huway apny os raastay pr gamzan rahiye ga jis pr chal kr ap ny izzat aur shan hasil hi. Ap ny khud b promotion hasil ki aur bht saray stenos ka bhala b kia. .Maen apnay tamam Post Office Department k doston samait ap ko Lahore visit pr honorable hospitality, k lye mubarik deta hun aur bauhat khush b hun k hmaray bhai ko Allah kareem ny izzat sy nawaz diya. Maen umeed krta hun k ap apnay isi raastay pr gamzan reh kr deprived stenos k lye b bila imtiaz efforts krtay rahain gy aur deprived stenos B-14 and B-16 ko b unka haq dila kr hi sukhh ka saans laen gy.
    Muhammad Aslam Saifi,
    Steno Faisalabad GPO
    0300-7601061

    ReplyDelete
    Replies
    1. Saifi Bhai, agar ap ghor karain to forum par deprived stenos atay and kun'k dosron ko anay ki zarorat hi nain. un ko tu B-16 mil gia tha. An nhi koshash unien k leya hay, main shamjhta hon k meri batiain kori lagti hain such waisay bhi karwa hota hay. hamari kisi bat ka jawab tak nain dia jata. Agar isi main rahna hay tu khamoshi hi achi hay. Halan k mira fone number aur pata sab k pas hay magar aglay din pata chalta hay k kon kahan tha. Khana khilan koi mushkal nain. Asal rajput hain na is leya sidhi bat kartay hain jo buri lagti hay. Khush raho saifi bhai. Inshallah Faisalabad aya tu mulaqat karain gay.

      Sabir Chauhan Lahore

      Delete
    2. Eid Mubarak to all user of this forum.May this Eid bring happiness, prosperity and blessings for all of you and our beloved Pakistan. Ameen.

      Sabir Chauhan Lahore

      Delete
    3. Thanks Aslam Bhai
      Inshallah meri yahi koshish hogi k ma apney community k liye jo bhi kar sakta hoon karon.... Mere Lahore aney ka maqsad un doston se milna tha jis ne es mission ma meri madad ki.....Rahi Bat Sabir Chauhan sahib ki tu waqi khana khilana koi mushkil kam nahi lekin apna qeemti waqt kisi ko dena bohat bari baat ha aur Lahore k sathion ne mujhe bohat qeemti waqt dia jis ma Income tax deptt se M/s.Saeed,Shahid , Amjid PS, aur Asim sahiban ka naam qabil-e-zikar hain. Ma ne Lahore ma deprived stenos se mulaqat ki aur ye haq hasil karne k liye doston se mashwara kiya... (Time scale) deprived stenos k liye hi ha jis per ma kaam kar raha hoon.....baqi jo log jo samajhte hain unhain samajne dain. DUA KARIN K ALLAH KI ZAAT MUJHE YE HAQ HASIL KARNE MA KAMYAB KARE.

      Delete
  2. Today news appeared in daily newspaper regarding enhancement in age of retirement upto 62 years, which is very said news. My promotion in BS-15 was due on March 2013, now, I will wait for more 2 years, I already working in BS-12 w.e.f. May 1995, 18 years elapsed and I am anxiously waiting for promotion, so many employees will suffered and unemployment will also increase. Allah kara is ka notification jari no ho.

    Muhammad Shafique Mughal
    0300-4649502

    ReplyDelete
    Replies
    1. This type of Notification not confirmed by any source.

      Delete
  3. Assalam o Alaekum to all colleagues, friends, and viewers
    Thanks Khalid Bhai/Sabir Chuhan Bhai.
    "IRAADAY JIN K PUKHTA HON, NAZAR JIN KI KHUDA PR HO,
    TALATAM KHEZ MAUJON SY WOH GHABRAYA NAHI KRTAY". Mujhy itmeena huwa k khalid bhai ny ehad kia k woh continuously deprived stenos k lye koshish kr rahy haen aur krty rahaen gy. Allah Kareem Khalid Bhai ko Aafiyyat Ataa Fermae aur inko deprived stenos ko unka haq delanay k lye, koshish krny ki taufeeq, himmat aur ajar ataa fermae. Es k ilawa maen bhai Sabir Chuhan sahib k jazbat ko samjta hun, but aik chhoti si baat kahunga k kuchh kaam esay hotay hn Jin maen shyd Allah Kareem ki koi na koi maslehat hoti hy, warna Estt.Dn aur Fin Dn walon k dil aur damagh, Allah Kareem k hi qabzay maen haen. Yehi mera eman hy. Any way hm sab k iraday pukhta haen aur hmari nazar b Khuda pr hy, InshaAllah hmari up gradation hogi ya Time Scale mil jae ga. Es k ilawa agr ap ny Khalid Bhai ko phone kr k invite nhi kia ya khalid bhai ny apko phone nhi kia, es maen kisi ki b mistake nahi, yeh sirf mis-understanding hogaee hy. Ap khalid bhai ko keh daen k aenda woh jab b Lahore jaen tw ap ko zroor phone kr k bta daen ta k ap unki khidmat b kr skaen aur unki meetings maen shamil ho kr apnay qeemti mashwaron sy b nawaz sakaen. This is the best way for every one. Es k ilawa Shafiq Mughal Bhai k comments parh kr haerat hui, k kisi ki khushi un k lye Azaab ban gaee? Kisi ki duaen Allah k hazoor manzoor ho gaeen aur unko 2 saal mazeed service mil gaee, un logon maen sb cadres shamil haen. Yeh khabar un k lye khush-khabri ban gaee. Yeh sb Naseeb ki baat hy. Koi pta nhi k koi 2 sal mazeed service kr skay ga b ya nhi. Koi yeh nahi keh sakta k next promotion tak who khud b zroor zinda rahay ga. Yeh b Naseeb hi ki baat hy. Hamesha yeh baat zehan maen rakhni chahiye k kisi k intiqal kr jany sy ya retire ho janay sy zroori nhi k promotion mil hi jae gi. Agr zindagi hy tw zroor milay gi, who b waqt aany pr. Promotion ka matalab hota hy Izzat aur Rizq maen Azafa, Aur yeh dono cheezaen Allah hi k hath maen haen. Afsurda hony ki zroorat nhi. Allah apko Rizq Esi Jga say aur Ess Tarha sy dy ga k ap ko guman tak na hoga. Yehi Nabi Pak (SAW) ki Hadees- e- Mubrika hy. Ess pr shak krny ki koi gunjysh nhi. Allah say Ataa krda Rizq aur Izzat pr Shukar kraen aur mazeed k lye dua mangaen, Allah apko apni Hifz-o-Amaan maen rakhay. Aameen.
    Muhammad Aslam Saifi.

    ReplyDelete
  4. Dear Khalid bhai
    Assalam alaikum n eid mubarak to u and all my colleagues.
    Khalid sahib i observed that comments are being given in scattered places by our friends/colleagues.
    As u r having administrative control over this website/forum, so I request u to please create a special dialogue box under heading "COMMENTS/DISCUSSION/PROPOSAL" etc. so that all colleagues can share their valuable comments/suggestions at one place.
    Thanx.

    Rehan Islam
    PA Senate Sectt.

    ReplyDelete
    Replies
    1. Saifi Bhai and colleagues.AOA, I read your valuable comments continuously or U can say I am a reader of forum. So far as my comments are concerned,I always comments on facts which I think feasible and not apple polishing in any matter in life.It is natural that the comments of beneficiary and deprived stenos will be different and not match each other. Hence every one should respect each other,because we have no personal garage with each other. We should excused one who play foul and discourage any one.

      Sabir Chauhan

      Delete
  5. Wa-Alaekumussalam.
    Sabir bhai ap k comments karrway hn tw b kisi ko buray nhi lgtay. Ap ka karrwa pann hi Tiryaq ka kaam krta hy aur forum phir sy sar-garam hojata hy. Ap khamosh ho jao tw sb hi khamosh ho jatay hn. Eslye Aap feel na kia kren, aur jo stenos ki falaah aur bihtari k lye achha samjhaen,wohi kartay rahiye. Yeh forum ap sb Stenos k lye hi formate kia gya hy , aur jitnay ziyada comments hongay es forum pr, utna hi yeh forum popular hota jae hoga. In addition to that above, according to your good advice, I do hereby excuse to all, if any one ever feel something wrong at my end.
    Muhammad Aslam Saifi

    ReplyDelete
  6. Assalam o Alaekum to all
    Any news about deprived stenos B-14, B-16?
    Muhammad Aslam Saifi

    ReplyDelete

Khalid Riaz SVP PS Welfare Association

Khalid Riaz SVP PS Welfare Association

WIDGETS

bloguez.com